Fasalon ko takalluf hein humsey agar

 Fasalon ko takalluf hein humsey agar

hum bhi bebas nahin be-sahara nahin
khud unhi ko pukareengey hum door-se
raaste mein agar paao thak jaayengey

if the long distance have created hesitation
tell them we are neither helpless nor needy
we will seek help from Rasulallah SA from far
if our feets give up on the way

hum mediney mein tanha nikal jaayengey
aur galiyon mein kasdam bhatak jaayengey
hum waha jaa key waapis nahin aayengey
dhoondtey dhoondtey log thak jaayengey

We will roam alone in Medina
we will purposely get lost in its alleys
once we reach there, we wont come back
people will try their best, but wont find us 

jaisey hi subz gumbat nazar aayega
bandagi ka kareena badal jaayega
sir jhooka ney ki fursat milegey kisey
khud hi palko sey sajdey tapak jaayengey

as soon as we see the green-colored minaret 
the mode of prayers will change 
we wont have time to prostrate 
instead tears will drop from our eyes 

naam-e-aqa (SA) jahaan bhi liya jaayega
zikar unka jahaa bhi kiya jaayega
noor hi noor seeno mein bhar jaayega
saari mehfil mein jalwey lapak jaayengey

wherever there will be mention of Rasuallah SA 
our hearts will be filled with the blessed light 
and the entire surrounding will be filled with the holy light

ae madiney key zaaeir khuda key liye
daastan-ne-safar mujhko yoon mat suna
baat baad jaayegi dil tadap jaayega
mere mohtaat aansoon jhalak jaayengey

hey you fortunate visitor to Medina 
dont mention to me the story of your trip 
it will fill my heart with grief 
and my desperate tears will start flowing again

unki chasm-e-karam hein iski khabar 
kis musafir ko hein kitna shauk-e-safar
humko ek baar jub bhi ijazaat mili
hum bhi aqa key darbaar tak jaayengey

Prophet Mohammed's benevolent eyes knows
which visitor is desperately waiting to come to Medina
and once we get that change 
we will visit the holy place of the Prophet Mohammed SA

fasalon ko takalluf hein humsey agar
hum bhi be-bas nahin be-sahara nahin
khud unhi ko pukareyengey hum door sey
raaste mein agar paao thuk jaayengey

No comments:

Post a Comment